Papaya Beauty Tips Hindi For Skin - Soft And Clear Skin In Urdu
Papitay ke tamam ajza yani patte, tana, chal, phal aur beej tak medicine ke tor par istemal kiye jate hain. Is ki adwyati khasusiyat par Brazil mein hone wali 6 sala tehqeeq se ye baat samne ayi keh papitay ka guda zakhmon ko mundmil karne mein aham kardar ada karta hai. Amazon ke jungle mein rehne wale indian qabail hazaron saal se zakham aa jane ki surat mein mutasira muqam par papite ke gudey ko kuchal kar us ka laip karte hain aur isi tarah woh har qisam ke zakhmon ka ilaj karte hain.Naram aur mulaim aur shafaf jild ke liye tibi mahireen ke mutabiq ye phal intihai aham hai. Papaya juice skin ki freshness aur shine qaim rakhne mein aham kardar ada karta hai. Is ka musalsal istemal aap ki jild ko na sirf sehat mand aur chamakdar balkeh naram o mulaim aur shafaf bhi banata hai papita khane ke faide ye hain ke jub aap isay apni jild par lagatay hain tou is se rangat nikarti hai aur is ke musalsal istemal se chehre ke dagh khatam ho jate hain. Darasal is mein mojood vitamin C aur E jild ke keel mahason ko door karne mein madad faraham karte hain. Girls face pack ke tor par laga sakti hain is tarah chehre ke band masam khul jate hain is liye ye insani jild par barhti umar ke asrat ko kam karne mein bhi kamyab hai. Is ko fruit salad ke tor par bhi khaya jata hai aur skin diseases ke liye aap isay barah-e-rast jild par bhi laga sakti hain is ke ilawa woh jidl ke aise infections aur zakham bhi jo theek nahin ho rahe hon papitay ke use se bhar jate hain. Kache papitay ke chilkay ko kata jaye tou us mein paya jane wala aham tareen mada yani Papain doodh ki surat mein nazar aata hai is doodh ko barah-e-rast zakham, danon, mahason aur chehre ke dagh dhabon par lagaya ja sakta hai. Is ko khane se hairs bhi mazboot hotay rehte hain hain kyoun ke is mein woh khubiyan shamil hain jo balon ki mazbooti mein aham hain.
No comments:
Post a Comment