Milk Benefits Urdu Doodh Ke Faide Hindi Milk Camel Goat Cow Milk Benefits

  Lal Gulab      

Milk Benefits Urdu Doodh Ke Faide Cow Milk Benefits In Hindi

Doodh Ke Fawaid: Tamam Doodh aik jese khwas ke hamil nahin hote gaye, bhains, bakri (goat milk) aur ontni (camel milk) ki taseer mukhtalif hoti hai. Humain bazaar mein jo khuley doodh ya dabon mein band doodh milta hai, un ke bare mein yaqeen se nahin kaha ja sakta keh us mein kin maweeshiyon ka doodh shamil hai. Pasteurization aur standardization ke baad ye janna bhi dushwar hai keh ye doodh jo hum pee rahe hain woh darasal kya chez hai? ayurved mein mukhtalif doodh ki khasiyatain alag alag batai gyi hain aur sub se zayada ahmiyat gaye ke doodh ko di gyi hai. Doodh peene se aap ke jism ki tawanai bahal hoti hai aur aap ke tissues ko nayi taqat mil jati hai. Aap ke khoon, pathon, charbi, hadi aur hadi ke andar mojood goday ko bhi ghazaiyat faraham hoti hai. Agar aap ke pait mein dard hai ya meday mein jalan ya tezabiyat mehsoos ho rahi hai tou aik glass cow milk pee lain. 

Doodh quwat bah mein izafay ka bhi sabab banta hai taham is ki taseer thandi hai aur ye jism mein balgham ki maqdar barha deta hai is liye agar aap nazla zukam ka shikar hain, naak beh rahi hai ya phephray mein infection hai tou phir doodh se parhez karna behtar hai. Jo log diabeties ke mareez mein unhain bhi bohat zayada maqdar mein doodh nahin peena chahiye. Amoomi tor par cow ke doodh ko jism ki tawanai bahal karne wala, taqat aur chusti bhar dene wala mashroob qarar diya jata hai. Jo log kisi bimari se taza taza sehat yab hue hain unhain bhi cow milk peene par tawajah deni chahiye. Is se na sirf jismani balkeh zehni salahiyaton ko bhi jala milti hai. Bachon ke liye doodh ki ahmiyat tou sabhi jante hain.

Dadiyan aur naniyan bhi apni betiyon aur bahuon ko doodh peene ki talqeen is liye karti hain keh us mein Galactogogue khasoosiyat payi jati hai yani milk peene se khud un ke jism mein doodh utarne ki salahiyat behtar hoti hai aur is tarah shair khwaron ki aham zaroorat puri ho jati hai. Jin mothers mein doodh ki kami hoti hai aisi mothers ko doodh peene ki talqeen ki jati hai.

Doodh mein qabz kusha khasusiyat bhi hoti hain is liye agar pait mein gar bar hai tou phir is se parhez karain jabkeh makhan se qabz ki shikayat ho sakti hai. Din bhar ki sakht mehnat ke baad agar jism thak jaye tou doodh ka aik glass ye thakan utar sakta hai. Dil ki dhadkan tez ho, sar chakraye aur tabiyat nidhal ho tou aisi suraton mein bhi doodh mufeed rehta hai. Dama ke patients aur khush khansi ke mareezon ko bhi doodh se fayde uthane chahiyain. Aap ko bhook lagi ho ya pyas donon suraton mein doodh aap ki zaroorat puri kar sakta hai. Doodh un logon ke liye bhi mufeed hai jin ko waqfay waqfay se bukhar ata hai jo peshab ki naliyon mein infection ka shikar hain. Ilawa azeen khawateen mein agar ayam ki be qaidgi ki shikayat ho tou woh is ke azalay ke liye doodh azma sakti hain.

Bhains ka doodh, gaye ke doodh jesa nahin hota balkeh zayada saqeel samjha jata hai yani dair se hazam hota hai, is liye bhains ka doodh un logon ke liye behtar hai jin ke hazmay ka nazam behtar hai, jo log bay khawabi ka shikar rehte hain un ka bhi bhains ke doodh se faida ho sakta hai. Bakri ka doodh khasiyat mein halka hota hai yani jaldi hazam ho jata hai is liye bakri ka doodh un logon ko peena chahiye jo bohat kamzoor hain. Bukhar, haiz ki kharabi aur daston ki shikayat mein bhi bakri ke doodh ki sifarish ki ja sakti hai. Camel milk ki taseer garam samjhi jati hai aur taste mein qadray namkeen mehsoos hota hai lekin camel ka doodh qabz kusha hota hai, pait ke keeron ko khatam karne mein bhi mufeed hai aur pait mein pani bharne ke marz Ascites mein mubtla afrad bhi milk  ke faide hasil kar sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Milk Benefits Urdu Doodh Ke Faide Hindi Milk Camel Goat Cow Milk Benefits

No comments:

Post a Comment