imli Aur Aloo Bukharay Ka Sharbat Recipe Urdu imli Ka Sharbat Hindi Recipe For Pregnancy

  Lal Gulab      

imli Aur Aloo Bukharay Ka Sharbat Recipe Urdu

Mausam e garma mein aloo bukharay qudrat ki taraf se insan ko aik khas tohfa hain ye aik farhat bakhsh aur qabz kusha phal hai jis ka rang syahi mayel surkh ya zard ka hota hai jabkeh pukhta phal ka zaiqa meetha aur kachay phal ka tarsh hota hai. Kafi garmi ke mausam mein alu bukhara pyas mein taskeen deta hai kyoun keh ye blood ke josh ko kam karta hai is liye high blood pressure mein mubtala afrad ke liye khasa mufeed hai. Sugar ke mareez bhi tars aloo bukhara istemal kar sakte hain fresh aloo bukhara ka khilka utarne ke baad us ki guthli nikal kar pani mein shamil kar ke blender ke zariye asani se amli ka sharbat aloo bukharay ke sath asani se tayar kiya ja sakta hai.

Ashya Aur Maqdar

Aloo Bukhara aap isay taqreeban 250 gram lay aur Imli bhi itni hi maqdar mein lain par cheeni 1 kg is ke liye istemal ho gi.

imli Aur Aloo Bukharay Ka sharbat Banane Ka Tarika Hindi

Khush sunehri imli aur meethay khushk alu bukharay raat ko bhigo kar rakh dain pani itna ho keh donon ajza achi tarah bheeg jayien. Subah imli ke beej aur aloo bukhare ki guthliyan nikal dain phir 1 kg cheeni mila kar itna pakayain keh garha sa sharbat ban jaye. Sharbat mein ice cubes ya thanda pani shamil kar ke piya ja sakta hai. (imli ko channay ke baad hi cheeni milayien takeh sharbat saaf suthra bane). Hamla khawateen sakht garmi, qay aur sar dard se bachne ke liye alu bukhare ka istemal karain. Alu bukhara ka sharbat banane ke liye 5 se 6 aloo bukhaey raat ko yani night time mein aap pani ke glass mein bheego dain subah thori si cheeni aur namak mila kar alu bukharay musaksal dain aur kati hoi barf daal kar istemal karain.

Do Not Use Salt In This Sharbat During Pregnancy  - Namak Se Door Rahain

Is sharbat mein hamal ke doran namak istemal karne se mana kiya jata hai is liye ye zaroor yaad rakahin ke pregnancy yani hamal ke dinon mein namak ka zayada istemal aap ke liye aur aap ke bache ke liye bohat khatarnak ho sakta hai jis ki wajah se high blood preesure hota hai aur woh pre-eclampsia ka baes ban sakta hai jis mein maa aur bacha donon ki life khatrey mein ajati hai is liye mera aap sub ko yehi mashwara hai ke hamal ke days mein ho sake tou namak se door hi rahain aur preeclampsia kya hai is ke bare mein har aik ko maloomat zaroor rakhni chahiyain takay aap apne aur aap ke bache mehfooz rah kar dunya ki koshish dekh sakain. Maine is bare mein aik post likhi hai aap ko us ka link isi article mein faraham kar raha hon aap woh zaroor parhain kyoun ke main is cheez ka shikar ho chuka hon is liye meri koshish hai ke zayada se zayada log is bare mein jaan sakain aur apne bache ko khona na pare. Umeed hai aap ko imli aur aloo bukharay ka sharbat ke faide pasand aye hon gey aur ye recipe bhi banani samajh mein aa gayi ho gi agli achi tehreer tak aap se ijazat ke acha khayien aur acha jeeyain.
logoblog

Thanks for reading imli Aur Aloo Bukharay Ka Sharbat Recipe Urdu imli Ka Sharbat Hindi Recipe For Pregnancy

No comments:

Post a Comment