How To Make Tissue Paper Box At Home In Urdu And Hindi
Tissue paper box khareedne ki bajaye sirf tissue paper lain aur apne hathon se banaye gaye "home made tisse paper box" mein refill kar lain. Is tissue paper box ko banane ka credit Nimra Zulfiqar ko jata hai.Tissue paper box designs home made |
Khas hunar rakhne wali khawateen apni infradiat ki wajah se pasand ki jati hain is se nasajawati sirf aap mein khud aitmadi paida hoti hai balkeh aap ke rishta dar aur ahbab bhi aap ko sarahe bina nahin reh sakte. Ghar ki sajawat ke liye hum aksar mukhtalif cheezain khareedtay hain lekin agar aap yehi cheezain aam istemal ki cheezon se banane mein kamyab ho jayain tou bachat bhi ho gi aur cheez bhi munfarid bane gi bas thori si maharat aur tawajah ho tou aap aisa koi bhi hunar seekh sakti hain. Aap ko tissue paper box banana sikhaytay hain jo aap apne jannay walon ko gift bhi de sakte hain.
Required Material
- Chart Papers (Different Colour)
- UHU Glue
- Scale
- Pencil
- Scissors
- Paint Brush
- Poster Paints
- Double Tape
- Fish Wire
- Beads (khubsurat moti)
Tissue Paper Box Banane Ka Tareeqa In Urdu Art And Craft
- Base banane ke liye chart paper par pencil se nishan lagayein.
- Nishan ke mutabiq chart paper ki cutting karain.
- Paper ko charon taraf se fold kar lain aur double tape se jor lain.
- Ab cover banane ke liye pencil se nishan lagayein aur cutting kar lain aur darmiyan se bhi kaat lain.
- Ab base mein tissues takh kar cover charha dain.
- Tissue box ke cover par designing ke liye apni pasand ke rangon ki strips banayain aur glue ki madad se chart papers ki weaving karti jayain.
- Weaving mukamal hone ke baad glue ki madad se tissue box ke cover par chipka dain.
- Ab safaid chart paper par pencil se phool banayain.
- Design ke mutabiq flowers ki cutting kar lain.
- Ab un flowers par apni pasand ke rang ka poster paint karain.
- Phoolon ko glue ki madad se aik dusre ke oper chipka dain.
- Fish wire mein motiyon ko paroyain aur akhir main phool ko tissue box par glue ki madad se chipka dain.
No comments:
Post a Comment