Theory Black Hole Urdu History - Black Hole Information Hindi
Aik Khalai Raaz, Mukamal Tabahi Ya 2 Kehkashaon Ke Darmiyan Rasta:
What Is Black Hole Kya Hai? Khalai tehqeeq hamesha hi se insan ke liye tajasas ka baes rahi hai aur isi ki bunyad par har dor mein science fiction stories, documentary aur books likhi jane ke sath films aur tv programes banaye jate rahe hain. 1975 mein aik bartanwi TV Channel ne space 1999 nami science fiction series ka aghaz kiya tha. Jis ka markazi khayal ye tha keh zameen ka tamam atomic fuzla chand (moon) ki satah mein dafan kiya jane lagta hai, jis ki dekh bhal ke liye 300 afrad par mushtamil afrad ka amla chand par qaim base station Alfa mein har waqt mojood rehta hai. Chand ke us hisay ka maqnateesi maidan khatarnak had tak taqatwar ho jata hai jis ke nateejay mein atomic fuzlay mein aik roz itni shiddat ka dhamaki hota hai keh chand zameen ke madar se nikal kar khala mein bhatakne lagta hai....... aur aik roz black hole mein dakhil ho kar dusri kehkashaon mein nikal jata hai. Ye black hole kya hai? black hole ki haqeeqat aur wajood kya hai? ye sawal apni jagah dilchasp aur tajasas ka baes hai.Khalai tehqeeq ke mahireen ke mutabiq "Black Hole" khala mein mojood aisay muqamat hain jin ki kashish saqal itni zayada hai keh ye roshni ko bhi nigal jate hain. Aam nazariya azafiyat ke mutabiq space mein bohat zayada tadad mein mojood garha mada makhsoos waqt ke baad black hole ki shakal ikhtyar kar leta hai, jis ke gird ka halqa Event Horizon kehlata hai.
Black Hole Tak Pohanch Kar Koi Cheez Wapas Nahin Aati:
Mahireen ke nazdeek ye woh muqam hai jahan pohanch kar kisi bhi chez ke liye wapsi mumkin nahin hai. Black hole ko blacl is liye kaha jata hai kyoun keh jo bhi roshni horizon par parti hai woh munakas nahin hoti aur wahan siwaye sayah dhabay ke khuch nazar nahin ata jis tarah thermo dynamic mein black body ke mamlay mein hota hai. Jabkeh aur aur black hole theory ye hai horizon se shadeed darja hararat ke sath tabkari ka ikhraj hota hai. Is darja hararat ka taluq black hole ke hujam se hota hai jis ki wajah se tabkari ki shidat ka andaza lagana mushkil hai. Khuch mahireen ka ye bhi kehna hai keh black hole mein kashish saqal itni zayada hoti hai keh bari se bari jisamat ki shay nazar na anay wale zarat mein tabdeel ho jati hai, chunkeh is se roshni ka ikhraj nahin hota, isi liye ye nazar nahin atay aur black hole kehlate hain.Khala mein kisi aisi jagah ki mojoodgi ka tasawar jahan takranay ke baad roshni wapas nahin ati. Pehli baar 1783 mein john mishal ne paish kiya tha, us ke mutabiq suraj ke qatar aur kasafat ke barabar ka jism la mehdood bulandi se black hole ki taraf giray tou us ki raftar roshni ki raftar se bhi zayada ho gi. Isi tasawar ki tausi rayazi daan simon ne 1796 mein ki. 1915 mein einstein ne nazriya azafiat paish kiya jis ke mutabiq kashish saqal roshni ki harkat par asar andaz hoti hai.
No comments:
Post a Comment