Anar Ka Juice Banane Ka Tarika Urdu Recipe Anar Ka Sharbat Fayde Vidhi Hindi

  Lal Gulab      

Anar Ka Juice Banany Ka Tarika Anar Ka Sharbat Recipe Urdu

Anar jannat ke phalon mein se hai aur is ka zikar Quran-e-Pak mein bhi hai kyoun keh ye mausmi hai aur khas mudat ke baad khatam ho jata hai isi liye anar ka sharbat bana kar pura saal is ke medical benefits yani anar juice ke fayde hasil kiye ja sakte hain. Anar ke juice mein hemoglobin ki kafi tadad hoti hai yehi wajah hai ke ye bohat shafaf yani saaf khoon paida karne ka zariya banta hai is ke ilawa jigar aur tili aur pitay ki bimariyon mein bhi ye behtareen results ka hamil phal hai. Ye khoon mein garmi ke baes hone wali kharish ko bhi khatam karta hai aur garmi ki shidat se paida hone wali pyaas ko taskeen dene ke ilawa ghabrahat aur bechaini ko khatam karta hai.

Anar Ka Sharbat Banane Ke Liye Kin Cheezon Ki Zaroorat Hai

Humain is ke liye 1 kg anar ka ras aur 150 gram cheeni ki zaroorat hai.

Method Tareeqa Anar Ka Juice Banane Ki Vidhi

Anar sheereen yani meethay surkh anaron ke danay lay kar un ko aik kilo gram ras nikal lain phir usay kisi bartan mein daal kar pakayien aur itna pakayien ke sirf aik pao garha ras baqi reh jaye. Baad mein is mein cheeni daal kar khush zaiqa aur ghazaiyat se bharay sharbat-e-anar se lutf anzooz hon.

Degar Phalon Ke Mashroob Banana Seekhain

Agarcheh phalon ke fawaid se sara saal mustafeed hone ke liye sharbat ka rawaj aam hai taham kisi bhi phal ke mausam mein us ke sharbat ki bajaye taza ras yani juice ka use zayada behtar hai hamare alaqon mein is sharbat ko kafi pasand kiya jata hai aur kyoun na kiya jaye anar ke juice ke faide hi lajawab hain aur aaj ke dor mein koi chez jo milawat se paak ho milna bohat mushkil hai magar phal fruit aisi cheez hain jin mein milawat nahin agar aap ke apne ghar ke phal hain phir tou kya hi khoob hai ke apne ghar ke ugaye hue anar ka juice banaya jaye is ke ilawa aur bhi bohat se sharbat hai jin ke zaiqe lajawab hain aur banane ka tareeqa bhi asan hai aur zayada mehnat bhi nahin karni paray gi bas cheezain darkar hon gi maine bohat se mashroobat ko tayar karne ke methods bataye hain agar aap un sub sharbat ke naam aur recipes mulahiza karna chahyain parhna chahain tou page de diya gaya hai sharbat ke naam se un mein apne favourite juice banana seekhain aur humain agah karain ke aap ko kon sa mashroob ka zayada behtar aur acha mehsoos hua.
logoblog

Thanks for reading Anar Ka Juice Banane Ka Tarika Urdu Recipe Anar Ka Sharbat Fayde Vidhi Hindi

No comments:

Post a Comment