A Visit To Museum Essay In Urdu Ajaib Ghar Ki Sair
Ajaib Ghar Ki Sair: Ajaib ghar ka name is ke liye buhat mozon hai. Iska name hi is ki tarz ki akasi karta hua nazar ata hai ke na jane ye makam kesi kesi ajeb o gareb chezon ka ghar go ajaib ghar ka name hamare liye bhi bais e tajasus tha. Is liye hum ne bhi ek din lahore ka ajaib ghar dekhne ki thani. Ye in dono ki baat hai jab mein lahore shehar men sakont ikhtiar kiye hue tha. Hum tamam doston ne salah mashware se ye tajwez kia ke jume ke din ajaib ghar ki sair ko challenge. Baki doston ko to apne waldain se ba asani ijazat milgai lekin hamain zara mushkil paish ai behar haal ye masla bhi hal hogaya.
Hamare ek ustad bhi hamare sath ajaib ghar jane ko tayar hogae the. Jume ke din hum tamam dost apne ustad muhtaram jamal sahab ke sath ajaib ghar ki taraf rawana hue. Takreban giyara baje hum log ajaib ghar ke darwaze par the. Ajaib ghar ek buhat hi khuli aur khubsurat sarak ke kinare waqia hai. Is ki emarat bari shandar hai aur irdgird bagecha hai. Is ke samne ki janib punjab university hai. Hum ne tickets kharedi aur ajaib ghar mein dhakil hogae.
Ajaib ghar ko mukhtalif hison mein taksem kia gaya hai aik hisa aisa hai jaha purane zamane ke mitti ke bane hue bartan, khilone, murtiyan aur aisi chezen aur hathyar maujood hein jo is zamane ki tehzeb o tamdan ka pata deti hein. Ye taman ashiya dhat ke zamane se bhi qabal ki hein. Dusre hise mein lakri ki ashia hein jin mein mahatma budh ka mujasma qabil e zikar hai. Waha ki har shae apne dor ki akasi karti hai. Tamam ashia par in ke mukhtasir kawaif darj hote hein. Aur ehtiyat ke paish nazar in ashia ko chune ki mamanat hoti hai ke hath lagane se in nawadrat ko bhi nuksan puhnch sakta hai aur dusre ye ke in par lage hue chemical se hamain bhi nuksan ka andhesa hai.
Musalmanon ke dor hukumat ne bhi nawadarat ka baish khazana hamare liye chora hai. Jabaja saman harb, zara baktar aur libas bhi rakhe hue hein. Ye libas is qadar bhari bharkam nazar mein ahrahe the ke inhen pehan kar chalna to darkinar inhen utha kar chalna bhi hamare liye dushwar kam hota. Is bat se hum ne purane logo ki taqat ka andaza lagaya ke waqai inki taqat o shujat mein koi shak nahi.
Ek aur hise mein zamana qadeem ki masnoat then jin mein aksar aam pathar aur sang mar mar se bani hui thi. Aur in ashia ko dekh kar is zamane ke karigaron ki fankarana salahiyaton aur mehnat ka bakhubi andaza hota hai. Aksar makamat par kapron ke namune nazar ate in par nakashi ki gai hai. Ajaib ghar mein mukhtalif zamane ke sike bhi pare hue hen jin par likhi hui ibarat parhna hamare bas se bahir hai. Isi tarah patharon par bhi ibaraten khudi hui hein. Quran majeed ke kalmi nushke bhi yahan par mojood hein jin ke rasam ul khat nihayat umda hein jo apne apne zamane ke lehaz se mukhtalif hein.
Siyahon aur tarekh dano ke liye ajaib ghar buhat zayada kashish rakhta hai. Kyun ke ye inki malumat mein izafa ka baiz bante hen. Isi liye siyahat ke firogh ke liye ajaib ghar ka sahi intizam lazmi hai.
Azaim ko senon mein baidar karde
nighae musalman ko talwar karde.
Aj jo mamlikat khudad pakistan taraki ki rah par gamzan hai. Aaj se takriban 45 sal pehle yahan ki ye halat thi ke yahan par musalman khon ki holi kheli jarhi thi. Yahi wo mulk hai jahan ki sadiyon purani shandar tehzeb o sakafat ko angrezon ne apne dost sitam se buri tarah nuqsan puhnchaya.
Mandarja bala Allama iqbal ka shair jo ke muslim ki nigah ko talwar ki hasiyat se dilkash andaz mein paish kar raha hai. Isi shair ke mozu par in haqeqi kawishon ka zikar kia hai. Jis ke baiz hum ne mamlikat khudad pakistan hasil kia. Wese to in halat ko biyan karne ke liye kai dafatar darkar hen. Magar ye bat bhi ek haqeqat ke musalmano ne barsager pak o hind par ek so sal tak hakumat ki thi aur in ke baaz hukumran ki gaflat ki waja se barsager pak o hind par musalmano ki girift kamzor parti gai aur agyar ka tasalt kaim hogaya aur pure hindustan par wo angrez tajir jo ke waha sirf tijarat ki garz se ae hue the hakim ban kar beth gae aur wahan ke basiyon par tarah tarah ke zulm o sitam rawa rakhte lage.
Aise kare waqt mein hindon ne bhi angrezon ka sath dia aur puri muslim qoum ek aise shikanje mein jakar gai jo kahen se khula hua nazar nahi ahraha tha. Ye musalmano ki gaflat ka nateja tha. Kyun ke qudrat kisi qoum ki ijtamai buraiyon aur gunahon ko kabhi maf nahi karti aur bila waja kisi qoum ko diye gae aizazat nahi chenti. Aise mushkilat se ghire hue dor mein quaid azam wo wahid hasti thi jinho ne musalmano ko gumrahi aur gulami ke kunwe se nikal kar roshni ki raah dikhai aur inka pura pura sath musalmano aur waqt ke azem leader aur qoumi shair Allama iqbal ne dia. ALlama iqbal ne apni puri shairi musalmano ki islah ke liye wakf kardi. In ki shairi ke liye andhere mein chirag ka kam de rahi thi jis ki roshni mein wo apne khoe hue raston ko dekh kar manzil ki janib qadam ba qadam barh rahe the.
No comments:
Post a Comment