Water Chestnut Benefits Urdu Singhara Ke Faide Singhare Ka Atta Powder

  Lal Gulab      

Singhara Benefits Urdu - Singhare Ke Faide In Urdu

Mausam sarma ke aghaz par karachi ke bazaron mein gehre sabz ya ubli halat mein kalay rang ke chotay chotay nokeelay makhrooti shakal ke phal farokht hote aap ne bhi dekhe hon gey. Inhain aam zuban mein singhara kehte hain. Baaz alaqon mein isay "Pani Phal" bhi kaha jata hai jabkeh angreezi mein isay Water Chestnut ka naam diya gaya hai aur hindi mein singhara. Ye daryaon, jheelon aur talabon mein ugnay wale aik aabi poday ke phal mein jin ke tibi fawaid bey shumar bataye jate hain taham ahl-e-maghrib se zayada ahl-e-mashriq is se mustafeed hote hain.

Singhara Benefits In Pregnancy In Hindi:

Pregnancy mein singhara intihai afadiyat rakhta hai par hamal ke doran isay istimal had se zayada mat karain aur behtar yehi hai ke apni doctor ki batai hoi khorak istimal karain. Singhara bar-e-sagheer ke mumalik ke ilawa China aur mashriq baeed ke degar mulkon mein bhi maqbool hai. Ye kacha bhi khaya jata hai aur boil kar ke bhi istemal hota hai is ke ilawa singhare ka atta bhi use kiya jata hai is ke bhi bohat fayde hain. 100 gram singhare ki giri mein hararon ki tadad 115 Kcal hoti hai. Protein 4.7 gram. Ayurvedic tareeqa ilaj mein singhare ke faide beshumar nazar atay hain kamzoor mardon ko khas tor par is ke istemil ki sifarish ki jati hai. Bangladesh ke scientists ki tehqeeq ke mutabiq singhare mein jaraseem kash khubiyan bhi dekhi gayi hain. Is ke use se aanton mein zakham bannay ke imkanaat ghat jate hain. aur burhapay mein yadhast kamzoor hone ki shikayat door ho sakti hai. Singhare se gums healthy aur teeth chamakdar hote hain. Is ke attay ko doodh ya dahi mein mila kar  use kiya jaye tou peechish mein afaqah hota hai. Khawateen ka mahana nizam baqaida banane mein bhi is se madad milti hai. Taham jis tarah har cheez ke nuqsan hotay hain usi tarah singhare ke side effects bhi bohat hain agar isay kasrat se istimal kiya jaye tou pitay mein pathri banne ke imkanaat bhi barh jatay hain, qabz ki shikayat bhi ho sakti hai.
logoblog

Thanks for reading Water Chestnut Benefits Urdu Singhara Ke Faide Singhare Ka Atta Powder

No comments:

Post a Comment