Pani Ke Faide In Urdu Water Benefits In Hindi:
Apni health yani apni sehat se mutaliq aap agar ye andaza nahin laga sakte keh stomach ki jalan pani ki kami ki wajah se aap ko hai aur aap ne ilaj ki wajah se koi medicine li hai tou aap ke meday ki sozish mein izafa hone ka khadshah hai.
Garam aur thanda pani donon ansani skin ke liye alag taseer rakhtay hain. Aaj ke is important article mein aap ko pani se ilaj karne ka tarika koshish ki ja rahi hai ke aam feham lafzon mein youn bayan kiya jaye ke har tabqa fikar ke logon ko is se fayde hasil ho sakain chaliye pani peene ke fawaid mulahiza kijiye.
Water Treatment Methods In Urdu - Pani Se ilaj - Water Therapy
Seene Aur Meday Ki Jalan Door:
Agar aap senay ya meday mein jalan mehssos karain tou ye is baat ki ilamat hai keh aap ka jism pani ki kami ka shikar hai is jalan ko door karne ke liye medicnes hargiz na khayain. Pani ki kami ko pura karne ke liye pani hi behtar hai agar aap ye andaza nahin laga sakte keh stomach ki jalan pani kam hone ki wajah se hai aur aap ne ilaj ki gharz se koi dawa khai tou aap ke meday ki sozish mein izafa hone ka khadshah hai is ke ilawa meday ke nechay ki choti aant (Duodenum) bhi mutasir ho sakti hai aap ko aant utarne (Hernia) ki takleef bhi ho sakti hai aap ki anton mein zakhan bhi ho sakte hain yahan tak keh aap ka jigar aur lablaba bhi mutasir ho sakte hain.
Joron Ka Dard:
Joron mein dard ya waram hona is baat ki nishan dehi hai keh aap ki body mein water deficiency ho chuki hai ye takleef young aur old donon ko ho sakti hai. Aisi surat haal mein medicine khane se takleef mein izafa hone ka inkan ho sakta hai. Pani zayada peeyain aur thora sa namak bhi kha lain, is se takleef kam ho gi aur ye behtareen water deficiency treatment hai.
Kamar Ke Dard Ka Khatma:
Agar aap ki
kamar ke nichlay hisay mein dard aur reerh ki hadi mein waram hai tou is ka matlab ye hai keh aap ki reerh ki hadi ki jagah par pani ki kami ho chuki hai. Reerh ki hadi mein platain hoti hain aur un ke darmiyan pani. Ye sub mil kar aap ke jism ka wazan bardasht karte aur aap ko seedha khara hone mein madad dete hain. Aisi surat mein pani zayada piyain aur agar doctor koi medicine deta hai tou woh bhi zaroor khayain. Agar aap ko jism mein water deficiency ki kami ka andaza na ho sakay tou acupuncture se ilaj karwayain.
Seenay Ke Dard Yani Angina Pain Ka Azala:
Chest pain ya heart pain ki aik symptom ye bhi hai keh aap ke jism mein pani ki kami ho chuki hai. Aisi shikayat hone par pani zayada se zayada piyain takeh aap ko medicines na khani parain. Is bare mein kisi doctor se ruju zaroor karain par zayada pani pee kar aap is bimari par qabu pa sakte hain.
Adhay Sar Ke Dard Ki Roktham:
Jub adhay sar ka dard ho tou wajah ye hoti hai keh brain aur eyes ko pani ki zaroorat hai. Agar aap zayada quantity mein pani pee lain tou medicine khaye baghair shikayat door ho sakti hai. Pani ki kami ke baes jo adhay sar ka dard hota hai is mein ankhon ke pichlay hisay mein sozish ho sakti hai aur binai bhi sahi rakhna chahte hain tou pani ka zayada istimal karain.
Damay Ka Khatma:
Pani ki kami se jism mein aisi pecheedgi paida ho sakti hai jis se dama ho jata hai taqreeban 1 crore 40 lack bachay har saal is bimari mein mubtala ho jatay hain. Zayada pani peene se damay ki shikayat khatam ho jati hai jin afrad ko damay ki shikayat ho unhain chahiye keh woh pani mein thora sa namak bhi mila lain. Un afrad ke pheephron mein
balgham jam jata hai is liye saans ki amdoraft mein rukawat hoti hai. Namak se balgham saaf ho jata hai aur seenay ki ghutam khatam ho jati hai damay ke patients agar pani mein namak mila kar piyain tou apne mualij se mashwara zaroor kar lain.
Ibtidai Sugar Se Bachai:
Jism mein pani ki kami se diabetes bhi ho sakti hai nakafi pani jism ke sare hison tak nahin pohanch pata jis ke natijay mein insulin jism ke saray khulyon tak nahin pohanch pati. Agar aap ne pani ki kami ki ilamat par tawajah na di tou khoon ki naliyon ko shadeed nuqsan pohanch sakta hai doran e khoon ruk jane se jism ke siay khas tor par paon ke angoothay aur paon bay jaan ho sakte hain.
No comments:
Post a Comment