Palak Ke Faide In Urdu Spinach Benefits Palak Leaves & Juice

  Lal Gulab      
Spinach Benefits In Urdu For Skin And Health Benefits - Palak ke faide bepanah hain in fawaid ko hasil karne ke liye fresh spinach ki details paish ki ja rahi hain. Palak agar bemariyoun ke khilaf dhal banti hai tou sabziyoun mein palak ke istemal ko tarjih dain palak ko taqat ka raaz bataya jata hai lakin hum log sabziyoun ke istemal mein pasand ya napasan ke mayar par is ki tawanai bakhsh khasiyat ko fokiyat nahin dete darasal humain maloom nahi hai ke palak folaad aur hayateen ke mahnge sharbatoon se kahin zayada mufeed aur kargar hai magar behtar ye hai ke isay zayada bhona na jaye. Sabziyoun mein ye sasti aur mufeed sabzi hai khoon ki afzaish ki salahiyat rakhti hai agar zaroorat se zayada na bhona jaye tu tawanai zaya nahi hoti hare rang ki sabziyoun ko istemal karne ki hadayat is liye bhi de jati hai. 
spinach leaves in hindi
Palak Khane Ke Fayde Sehat Ke Liye: Palak mein folic asid ki miqdar zaya na karain aur khasosan bharte hue bachon aur maa banne wali khawateen ko kudarti gaza deni maksood ho tu rozana ki khorak mein palak ke chand pate bhap mein ghala kar khilane mufeed hote han khasosan during pregnancy hamla khawateen ko paon ki sojan yani foot swelling ka arza lahak ho tou ye gur azmana chahiye kyoun ke palak mein koi darjan bhar nabatati gazaiyat bakhsh ajza mujood hote han jo sehat tawanai ki tameer karte han albata kidney ke amraz mein mubtala afrad ke liye palak muzar sehat hai aur palak mein iron ki maqdar dusri sabziyon se kahin zayada hai agar darjanoo gazai johar kisi sabzi mein mujood hon aur doctor aur tabeeb aap ko palak khane se ahtyat bartne ki hadayat nahi kar rahe tu phir pasand na pasand ko balaye taaq rakhiye aur in ajza se faida uthaiye jo ap ko cancer jese marz se mukabla karne ki salahiyat mahaiya karte han. 

Amraz e qalab ke logon ke liye behtar samjhi jati hai palak sartaan se tahafuz dilati hai aur khawateen mein chati ke cancer ke khalaf madafati khoobi se faida uthana chahiye. Agar aap benai ki hafazat chahte hain tou khud bhi palak khaiye aur bachon ko bhi is palak ka istemal ka adi banayien ye girti hui ya kamzoor benai ko sambhala deti ha aur motiya band se bhi mehfooz rakhti ha salad ke toor par kachi na kha sakain tu bhap mein tayar kar lain magar is ke pate khob chaba chaba kar khaiye aur apni sehat ke tahafuz ka khayal kijiye.
logoblog

Thanks for reading Palak Ke Faide In Urdu Spinach Benefits Palak Leaves & Juice

No comments:

Post a Comment