Information About First World War 1 History In Urdu -Pehli Jang e Azeem Awal ka aghaz kab hua is ki tareekh kya hai aur ye waqia kab aur kese shuru hua in mein kitnay log zakhmi hue aur kitnay maray gye first world war causes in urdu? in sub ke bare mein aap ko aaj is article mein bohat si details batai jayain gi jin se bohat se log anjan hain.
Aghaz: Pehli jang e azeem ka start 28 june 1914 ke is waqia se hua jub kisi slavs dehshat pasand ne Austria ke shahzada ko goli mar kar halak kar diya is ke baad 28 july ko Austria ne Serbia ke khilaf jang shuru kar di.
Waqiat: 15 august ko Austria ke rafeeq countries ki faujain Holland, Belgium ke mumalik ko rondti hoi France ki sarzameen tak pohanche ki koshish kar rahi thien. Germanon ne France par hamla awar hone ke liye jo plan tyar kiya tha us mein ye qarar paya tha ke France ke shumali sahil ke sath sath ko kar France ke darulkhilafa Paris par is tarah hamla kiya jaye jese pheelay hue bazu ki daranti war karti hai. Francici fauj ka ala kaman is mansooba ko bhamp na saka aur us ne apne mashriqi sarhad par se Germanon par 14 august ko hamla kar diya. Ye hamla tadbeer aur mansooba ke teht nahin hua tha lihaza Germanon ne jo pehle hi tayar thay aik bharpur war kiya aur francici wapas hatne par majboor hue.
Is ke baad Germanon ne apne hamley ki scheme ko jisay 1905 mein tayar kiya gya tha amli jamah mehnana shuru kiya aur jald hi France ke capital ko khatra lahaq ho gya is mulk ki badqismati se us waqt is ki benazir afwaj ki qiadat jagfrey ke hathon mein thi jo mudabar sapah salaar sabat na hua lihaza aisa maloom hone laga ke Paris chand dinon mein hi haar jaye ga magar ain us waqt aik hosh mand general galeeni namudar hua jis ne Germanon ka woh haal kiya ke unhain pechay hatna hi para aur is ke baad un ki pesh qadmi ruk gyi aur agley 4 saal tak kabhi German bhar atay tou klabhi Francici.
World War 1 In Information In Urdu: Pehli jang e azeem yani almi jang 20gth century ka pehla bara almi tanaza tha is tanaza ki ibtida 1914 mein shuru ho kar agli 4 dihaiyon tak jari rahi. Jang ka ibtidai josh o jazba us waqt mand para jub larai aik intehai mehangi aur khandaqon ki jang jesi shakal ikhtiyar kar gyi. Maghribi mahaz par khandaqon aur qila bandiyon ka silsila 475 meel tak pheel gya. Mashriqi maghaz par wasi gtar alaqay ki wajah se bare pemanay ki khandaqon ki larai mumkin na rahi lekin masla ki satah maghribi mahaz ke barabar hi thi shumali Italy, balkan alaqay aur salgtanat usmania ke turkey mein bhi shadeed larai hoi ye larai samandar ke elawa pehli martaba hawa mein bhi lari gyi.
Pehli aalmi jang jadeed tareekh ki sub se zayada tabah kun larai thi is mein taqreeban 1 crore fauji halak hue ye tadad is se pehle ke 100 saal mein hone wali wars ki majmoi halakaton se bhi zayada hai. Is jang mein 2 crore 10 lack ke lag bhag afrad zakhmi bhi hue ghalakaton ki itni bari tadad ki wajah machine gun jese naye hathyaron ki mutarigf karwana aur gas ke zariye ki gyi halakatain thien. Jang ke doran 1st july 1916 ko aik din ke andar sub se zayada halakatain hoien jub somay ke area mein bartanwi fauj ke 57000 fauji mare gye. Sub se zayada jani nuqsan Germany aur Russia ko uthana para jub Germany ke 17 lack 73 hazar 700 aur Russia ke 17 lack faujiyon ki halakatain hoien.
Jang Kab Khatam Hoi? November 11, 1918 ko subah ke 11 bajay maghribi mahaz par jang band ho gyi us zamane ke log isay "Jang-e-Azeem" ke naam se mansoob karte thay, ye band ho gyi lekin is ke asrat ingternagtional, politicaly, iqtisadi aur samaji halqon mein anay wali kayi dahaiyon gtak jari rahe.
World War 1 Summary Results - Natija: 1918 mein Germani ne jang band kar di aur sulah ki darkhwast ki taqreeban aik saal baad fariqeen mein agreement hua. Muslim world par is ka bohat bura asar para kyoun ke Turkey, Germany ka itehadi raha is liye usay is jang ki bhari qeeqat ada karni parri. Angreezon ne Arab ko turkon ke khilaf uksaya is tarah musalmanon mein qaumiyat ki bunyad par jang lari gyi aur Turkey ke bohat se Arab maqboozat Turkey saltanat se chale gye baad mein angreezon ne Turkey par bhi qabza kar liya aur is ki taqseem ka faisla kiya Kemal Ataturk jesi shakhsiyat ne bartania aur unan ko aisa karne se baz rakha isi jang ke natijay mein Musalmanon ki azeem khilafat ka khatma ho gya. Jang e azeem mein donon fariqon ke taqreeban 1 crore admi kaam aye aur 2 crore ke lag bhag nakara ho gye is par bohat is documentary bhi ban chuki hain.
No comments:
Post a Comment