Hong Kong History In Urdu - 1997 se pehle Hong Kong bartania ki nau abadi tha lekin jub bartania ka 99 saal ka patah khatam ho gya tou Hong Kong cheen ka intezami alaqa ban gya. Hong Kong ki mueshat sanat se khidmat ki janib muntaqil ho gyi hai ye alaqa aham tijarati markaz aur cheen ki aksar baramdat bhi yahin se hoti hain. 19th aur 20th century mein hong kong ki abadi mein us waqt bohat izafa hua jub lakhon cheeni tarkeen watan yahan akar abad hue aur 1970 ki dahai mein hong kong asian tiger ban gya yahan ke pahari alaqon mein tausee ka kaam mushkil hai is jagah ka shumar dunya ke zayada abadi wale mulkon mein hota hai.
Hong Kong ki population ki baat ki jaye tou hong kong city ki abadi 7 million ghai aur area 1,108 muraba km hai aur yahan taqreeban 3 lakh Musalman hain jis mein se 2 lakh ka taluk Indonesia se hai yahan Pakistaniyon ki tadad 20,000 ke qareeb hai.
Yhan khubsurat aur qeemti jewelry yani zevrat ka bazaar lagta hai jahan qeemti diamonds aur pathar logon ki tawajah ka markaz banay hue hain, yahan ke auction house mein nelami ke liye stalls rakhe jatay hain jin mein diamond necklace sets, rings aur tops sub ingtihai khubsurat hotay hain yahan khas tor par sabz zamurd ki shohrat aam hoti hai jub ye stalls lagtay hain.
Detail Hong Kong Information In Urdu: Yahan ka jagmagata hua asman us ki khubsurat qudarti harbour (bandargah) ka mukamal tor par ahata kiye hue hain hong kong shehar ka zameeni raqba Amreeci capital Washington DC se koi 6 guna ghi bara hai.
Shark Aquarium and Disneyland Resort: Yahan aik khubsurat disneyland bhi hai jahan na sirf hong kong balkeh puri dunya se log atay hain yahan ka disneyland puri dunya mein mashoor hai bachay khas tor par yahan atay hain. Hong kong shark aquarium ka shumar youn tou aik aisi aabi makhlooq ke tor par kiya jata hai jo moqa milnay par insanon ka shikar karne se bhi nahin rukti lekin ab isay insan dost bananay ki koshish ki ja rahi hai hong kong mein shark machli ke 360 degree ka aquarium hai jo asia ke baray shark machliyon ke aquariums mein se aik hai.
No comments:
Post a Comment