Teacher Day Speech In Urdu Ustad Ki Azmat Ahmiyat Ahtram Teacher Respect Hindi Speech

  Lal Gulab      
Teacher Day Speech In Urdu - Teacher Yani Ustad Muashray Ki Ruh Hai:
 
Teacher Respect Speech In Urdu: Jub muashra teezi se neechay ki taraf lar khara jata hai tou ustad aik aham speed breaker ho sakta hai kyoun ke zindagi ka koi bhi shoba ho adalat, fauj, siasat, sehat, saqafat aur sahafat sub ko chalanay wale ustad ke sahare ke baghair kisi bhi adaray tak nahin pohanch sakgtay. Pehli darsgah maa ki gaud hoti hai aur phir woh maa apne jigar ka tukra ustad ke hawalay klar deti hai aur ustad us ke liye puri dunya ko aik darsgah bananay ki taqat rakhta hai. Baap bachay ko zameen par qadam qadam chalna sikhagta hai, ustad usay dunya mein agey barhna sikhata hai. Jo teacher bachay ke andar seekhnay ki lagan, janney ki jusgtuju aur agey barhne ka azam na paida kar sakay woh ustad nahin aik beupari hai jo shaed taleem ko beupar samajh kar is shobay mein aa gya hai aur phir taleem ke shobay ko jis ki bunyad par puray muashray ka dhancha khara hogta hai usay jaron se hala deta hai. Is liye ustad ka kardar muashray mein bohat aham hai.

Mashoor adeeb marhoom Ishgfaq Ahmad jub room university mein professor tainaat thay tou aik dafa gari chalatay hue chalaan ho gya, adalat mein paishi hoi. Doran-e-guftagu jub judge ko pata chala ke woh teacher hain tou judge apni kursi side par kar ke ahtraman khara ho gya.

Tankhawa room mein bhi ustad ki itni zayada nahin magar rutba.. judge ho, ya koi bara tajar magar sub ustaad ke pechay youn chaltay hain jese kabhi ghulam apne aqaon ke pechay chaltay thay. Ustaad ka rutba tankhawa se uper ka hai. Is ka matlab ye nahin ke ustaad ki zarooryat nahin ya us ke sath pait nahin magar mushray ke bigar aur sudhar ki jo kunji ustad ke hath mein hai jis ki wajah se us ka muqaam baqi sub se uncha hota hai is ka taqaza ye hai ke ustad dunya ke baqi shobon ki gtarah apne hath zayada salary aur mara'at ki lalach mein gandey na karta jaye aur agar yehi karna hai tou ustad ke shobay ka intekhab na karay.

5 october dunya bhar ke teachers ko khiraj-e-tehseen paish karne ke liye aik din muqarar kiya hai jisay ustad ka din yani teachers day kaha jata hai. Ustad ki azmat se inkar nahin kiya ja sakta isi wajah se hi ye sawal jo ustad ke liye uthta ghai shayed kisi aur ke liye itni shiddat se na uthay ke aik ustad apna kardar kahan tak nibha raha hai? Pakistan mein ikhlaqi pasti ki bari wajah ustad ka apna zawal hai har dusre roz aik nayi video manzar aam par aati hai jahan bachon ko ustad dhara dhar maar rahe hain. Choti bachiyon se ustaniyan (lady teachers) paon dabwa rahi hain, un ke baal khench rahi hain.

Ye ustad bachon ko school mein taleem denay jatay hain ya muashray ki na insafiyon ki jang in masoom bachon ke sath ja kar lartay hain. Ye bachay baray ho kar muashray ko kya dain gey?

Pakistan mein private taleemi adaray sub se zayada munafa bakhsh business ban gye hain. In adaron ko chalanay wale society ke aham satoonon ke jese keh sahafat aur siasat hai, ke sirf apni zaat ka sochtay hain shayed isi wajah se mulk ke kul budget ka ya GDP ka 2.5% bhi taleem ke liye mukhtis nahin kiya jata. Taleem hukumat ki zumedari hai magar is se itni zayada laparwai barti ja rahi hai ke ye khud ba khud ameeron aur sarmaya daron ki aik ijaradari ban gyi hai. Jali schools ka wajood is sisaktay hue mushray par tamancha hai. Kitni buildings school ke naam par banien aur wahan par koi bacha taleem nahin hasil kar raha balkeh wahan bhansain bandhi hain aur teachers baghair kisi ko parhaye salon se tankhawa (salary) lay rahe hain. Kehte hain Pakistan mein teachers ki salary kam hai sahi kehtay hain magar kya kisi ne ye pucha un sarkari ustadon se ke ye baghair parhaye tankhawa kis baagt ki laitay hain? Pension, chuttiyan (holidays) aur na janay kya kya sahulatain ye kis khidmat ke silay mein lay rahe hain. Tasweer ka dusra rukh ye bhi hai ke private schools ke teachers ko salary kam aur bachon se fees zayada li ja rahi hai. Logon ke tax ke paisay ya businessman apna tax na dene ki wajah, woh paisa na hone ki wajah se jo school banana aur ache tariqay se chalana hukumat ki zumaidari bantay gthay ab ya tou koi ameer apni jaan ka sadqa nikal kar khairati adaray bana raha hai ya privagte adaray kam salaries par neem hakeem bharti kar ke is tarah kharcha kam kar ke munafa tou khoob kama rahe hain magar muashray ka ikhlaqi diwaliya nikal diya gya hai.

Hukumat teachers ke sath kya kar rahi hai ya nahin kar rahi mere katehray mein ustad khara hai. Faiz Ahmad Faiz ne jub Pakistan Times aur Arts Council se alehdgi ke baad apne asli peshay yani teaching ki taraf wapas aye, Abdullah Haroom Trusgt college ke principle ban gye, Hameed Akhtar likhtay hain "Main ne dekha Shaukat Haroon aur Faiz Sahib kisi baagt par zoor zoor se gtakrar kar rahe hain. Main ne socha shayed woh log unhain paise kam de rahe hain, magar pata chala ke woh gfaiz sahib ko 3000 ki paishkash kar rahe thay aur woh keh rahe thay mujhe sirf 1800 maheenay ke chahiyain, meri zarooratain isi mein puri ho jayain gi aur college baqi paise apni kisi zaroorat par kharch kare tou zayada behgtar hai. Faiz sahib ka hamesha apne students ke sath dosti aur mohabbat ka rishta hota."

Ye hai ustad jis ko rohani baap kaha gya jis ka darja society mein sub se buland jo sukrat ki tarah nangey paon bhi khara ho kar baat kare tou log us ki baat ko sar ankhon par bitha lain. Hukumat in ki salary mein zaroor izafa kare takay woh apni bunyadi zarooratain puri kar sakain.

tags: teacher speech in hindi, speech for teacher in urdu
logoblog

Thanks for reading Teacher Day Speech In Urdu Ustad Ki Azmat Ahmiyat Ahtram Teacher Respect Hindi Speech

No comments:

Post a Comment