Qustuntunia History In Urdu - Ye mazmoon qadeem shehar Qustuntunia ke qayam se turk jamhooria ke qayam tak ki tareekh ke baray mein hai, jadeed shehar par article ke liye dekhiye Intanbul.
Qustuntunia In Urdu (Constantinople): san 330 se 395 tak roomi saltanat aur 395 se 1453 tak baznateeni saltanat ka darulhakumat raha aur 1453 mein Fatah Qustuntunia ke baad se 1923 tak saltanat Usmania ka darul khilafa raha. Is ke baad Sultan Muhammad Fatah ne is shehar ka naam Islam Bol rakha jo ahista ahista Istanbul mein tabdeel ho gya. Shehar europe aur asia ke sangam par behr-e-mar marah ke kinare waqia hai aur qaroon wusta mein europe ka sub se bara aur ameer tareen shehar tha. Us zamanay mein Qustuntunia ko Vasileousa Polis yani shehron ki malkah kaha jata tha.
Names of Qustuntunia: Tarikh mein Qustuntunia ne kayi naam ikhtyar kiye jin mein se baaz nateen, new rome, Qustuntunia aur Ibtanbul mashoor hain.
Bunyad: 667 qabal masih mein Unan ki tousee ke ibtidai dinon mein shehar ki bunyad dali gyi. Us waqt shehar ke bani ke naam par baznateen ka naam diya gya. 11 may 330 ko Qustunteen ki janib se isi muqam par new city ki tameer ke baad isay Qustuntunia ka naam diya gya.
363 mein roomi saltanat ke 2 hison mein taqseem ke baes Qustuntunia ki ahmiyat mein izafa hua. 376 mein jang adrana mein roomi fauj ki bad tareen shikast ke baad shehar ko 560 foot buland 3 faseelon mein band kar diya tha. Is faseel ki mazbooti ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke barood ki aijad tak isay tora na ja saka.
Muslim Afwaj Ke Mahasray: Arab ne 2 martaba 674 aur 717 mein Qustuntunia ka nakam muhasra kiya. Dusra muhasra zameeni aur samandri donon raston se kiya gya us mein nakami se Qustuntunia ko nayi zindagi mili aur eesai isay Islam ke khilaf eesaiyat ki fatah tasawar karte hain.
Saleebiyon Ke Hathon Tabahi: Salaybi jang ke doran 13 april 1204 ko saleebi afwaj ne apne hi shehar Qustuntunia par qabza kar liya aur shehar ko shadeed nuqsan pohanchaya. 1261 mein baznateeni afwaj ne Qustuntunia wapas hasil kar liya.
Fateh Qustuntunia: 29 may 1453 ko saltanat usmaniya ke farmanrawa ke hathon baznateeni saltanat ke sath qustunteen ki hukumat ka khatma bhi ho gya aur Qustuntunia Millat Islamia ke qalb ke tor par ubhra. Shehar ke markazi girja ko masjid mein tabdeel kar diya gya aur shehar mein eesaiyon ko pur aman tor par rehne ki ijazat di gyi. Qustuntunia ki fatah tareekh-e-Islam ka aik sunehri baab hai eesai isay saqoot-e-qustuntunia ke naam se yaad karte hain.
Qustuntunia se Istanbul: Shehar 470 saal tak saltanat usmania ka darul hukumat raha aur 1923 mein Mustafa Kamal ne Ankara ko nayi turk jamhooria ka capital qarar diya aur Qustuntunia ka naam Istanbul rakh diya gya.
tags: qustuntunia history in urdu, qustuntunia ki fatah, qustuntunia information in urdu
No comments:
Post a Comment