London History In Urdu - London Information: London city bartania ka darulhakumat aur sub se bara shehar jo taqreeban 2000 saal purani abadi jis ke tareekhi mutalia se pata chalta hai ke is ki bunyad qadeem rumiyon ne rakhi thi. Is abadi ke qayam se aaj tak London bohat se tehreekon aur alamgeer waqiat ka mazhar raha hai jis mein english ka irtqa sanati inqlab aur qadeem rumiyon ka ahya bhi shamil hain. Markaz-e-shehar ab bhi wohi qadeem shehar London hai jis mein ab bhi qaroon wusta ki hadood nazar ati hain taham kam az kam 19 century se name London un tamam alaqon tak pheel gya, jo is ke itraf mein abad thay. Aur aaj abadiyon ka ye hujoom London, bartania ke alaqon aur azeem London ke intazami alaqay aur muqami tor par muntakhib nazim aur London dastoor saz majlis ka hamil hai. Dunya mein London business, culture aur muashi marakaz mein se aik hai aur dunya bhar ki political, taleemi, sahafati aur fashion is ke gehre asrat is ke international city hone ke gawah hain 2006 mein London city ki abadi 75,12,400 thi.
|
River Thames London |
London Ki Tareekh - Tehzeeb Aur London Ki Saqafat: Angreezon ka dawa hai ke qadeem romi door mein bhi London aik sar garam markaz tha ye pehle aik chota sa village tha jo darya-e-thames ke kinaray is tarah abad kiya gya hai ke aik taraf se darya is ki hifazat karta tha. London kli tarikh batati hai ke jin dinon Arab Musalmanon ki tehzeeb azmat ki bulandiyon par thi. Un dinon London aik cghotay se village ki hasiyat rakhgta tha. Jub angreezon ki fauj
salaybi jangon mein muqabla karne gyi tou us ki aksariyat khalon mein malboos thi aur Musalman fauj ke libas aur hathyar dekh kar angrez fauj dang reh gyi. 1258 ke saqoot e baghdad ke azeem almiyey ke baad jub tehzeeb ka suraj maghrib mein talu hua tou europe ki aqwan ne apne shehar munazam karne shuru kiye. Europe mein shehar basanay ke liye pehle koi yadgar maslan fountain ya ghanta ghar ki tarah ki cheez tameer kar ke us ke gird aik bohat bara choraha banaya jata tha.
|
London history in hindi |
Jis se khuch faslay par ird gird golai mein makanaat bannay shuru ho jatay thay aur youn shehar wajood mein aa jata tgha. Is ke baraks mashriq mein pehle aik bazaar tameer kiya gya ird gird makanaat tameer kiye jatay thay. Bartania ne bar-e-sagheer mein jo shehar abad kiye unhin ka asool apnaya gya. Asal London bhi aik fountain ke gird abad hai is fountain ke charon taraf bazaar nikaltay hain jo adhay meel lambey ghain asal shehar London ke gird 1940 mein abad kiye gye. Un shehron ko home county ka naam diya gya is tarah ki 32 countiyan bartania mein hain jin mein se 12 isi shehar London mein hain.
London Airport And London Metro Train: London ke international heathrow airport par taqreeban 4 crore aur 50 lack se zayada musafir salana safar kartay hain. Dunty ki pehle underground train yani zair-e-zameen
rail gadi 1863 mein London mein chalai gyi. Dusri jang-e-azeem mein zair-e-zameen rail gari ke nazam ko kafi nuqsan pohancha. Ab is ki patriyon ki lambai 254 meel hai aur puray London mein is ki dastras hai.
No comments:
Post a Comment