Lucknow Pact Notes In Urdu Lucknow Pact Misaq e Lucknow 1916 Essay Points

  Lal Gulab      
Misaq e Lucknow Pact Notes In Urdu:

Introduction - Pas-e-Manzar: Ghair muntaqim hindustan ki sayasi tareekh mein muahda lucknow ko is liye ahmiyat hasil hai ke ye All India Muslim League aur Congress ke darmiyan pehla aur akhri sayasi samjhota tha. Angraiz ke dor iqtidar mein agar hindustaniyon ki sayasat ka tajziya kiya jaye tou maloom ho ga ke hindustaniyon ki aik khas tadad is mafruzay par yaqeen rakhte thay agar hindu aur Musalman mutehad ho jayain tou bartanwi samrajiyat ka khatma aur ghulami ki zanjeeron ko torna mumin hai. Mukhtalif rehnumaon ne mukhtalif auqat mein is nazriye ko amli jamah pehnanay ki koshishain bhi ki hain. Aik zamane tak khud Muslim leahue aur congress mein aisay rehnuma mojood thay jo is khayal ke bohat baray mudai thay. Magar beeswien sadi ke shuru mein hindustan ke andar aur bahir se chand aisay waqiyat ronuma hue jin ki bana par hindustan ki sayasat ki kaya palat gyi aur hinduon aur Musalmanon ke darmiyan mufahmat paida hone ke liye halat sazgaar hue. Musalmanon mein teezi se angrez sarkar ke khilaf nafrat ka jazba parwan charhne laga. Jis ki wajah angreez sarkar ki khuch policies thien. Taraypoli mein Italy ki karwai ki hamayat, kanpur mein baray paimanay par qatal aam aur balqaan ki jangon mein angrez ki Islam dushman sargarmiyan aur policies ne mukhalifat ko mazeed hawa di.

In ke ilawa chand amoor aisay thay jin par Muslim League aur congress mutfiq thien un mein haq intikhab ka daira barhana shamil hai. Isi sayasi fiza mein pehli jang-e-azeem shuru ho gyi jis ne Muslim aur hindu itehad ke nazriye ko mazeed taqwiyat di. Ab donon qaumain apne mushtarkah dushman angrez ke khilaf mil gyien aur koi mosar aur marboot laiha amal ikhtiyar karne ke liye par tool rahi thien.

Inhi halaat aur waqiat mein bilakhir congress aur Muslim League ke darmiyan faslay kam ho gye. Natijay ke toor par 1915 mein donon jamaton ke ijlas mumbai mein aik hi muqaam par hue jahan donon partiyon ki taraf se committee tashkeel di gyi takeh donon jamaton ke darmiyan mukamal ham ahangi aur mufahmat ke kisi formula par baat ho sakay. November 1916 mein is committee ka aik mushtarka ijlas lucknow mein hua us ijlas mein kafi ghor ke baad aik agreement hua. December mein 1916 mein donon jamaton ne apne ijlas mein lucknow mein is agreement ki tasdeeq kar di.

Agreement Lucknow: Ghair munqsam hindustan ki tarikh mein lucknow ke agreement ko aik aham sayasi dastawez qarar diya ja sakta hai. Is ke tehat donon jamaton ke rehnumaon ne na sirf aik dusre ke moqaf ke jannay aur bardasht karne ki koshish ki aur unhon ne apne rawaiyon mein bhi khasi lachak ka muzahira kiya hai.

Lucknow Pact In Urdu
Is agreement ki ruh se jin nuqat par ittefaq hua un ki tafseel khuch youn hai.
  1. Muslim League ka mutalba baraye judagana intikhab congress ne tasleem kar liya.
  2. Musalmanon ke liye aik tihai nashistien markazi qanoon saz assembly mein makhsoos karne se bhi congress ne ittefaq kiya.
  3. Punjab aur bengal mein hinduon ko weight age diya in subon mein hindu nashiston mein izafay ke sath Muslim League ne ittefaq kar liya.
  4. Jin jin subon mein Musalmanon ki aksariyat nahin thi wahan Muslim nashiston mein izafa kar diya.
  5. Is baat se bhi ittefaq kiya gya ke koi aisa aisa bill ya qarardad jis ke zariye agar aik qaumiyat mutasir ho sakti hai tou usi qaumiyat ke 3 chothai arakeen is bill ya qarardad ki mukhalifat kare tou aisa koi musawida qanoon karwai ke liye kisi bhi assembly mein paish nahin kiya jaye ga.
logoblog

Thanks for reading Lucknow Pact Notes In Urdu Lucknow Pact Misaq e Lucknow 1916 Essay Points

No comments:

Post a Comment