Introduction - Taruf: Sir Syed Ahmed Khan 1797 mein paida hue woh azem mohsin qaum, adeb aur shair the. Inhon ne jahan Ali Garh College jaisa mamtaz Muslim taleemi idara qaim kiya wahin apne kalam ko Musalmanan janoobi asia ki khidmat ke liye wakaf kardia. Sir Syed urdu nasar ke dor mutawasat mein paida hue. Ye wo zamana hai jab Nawab Faqeer Muhammad Khan ne "Anwar Saheli" Mirza Rajab Ali Baig ne "Fasana Ajaib" aur Mir Aman Dehlwi ne "Qissa Char Darwaish" likha tha. Is dor mein "urduoe maula" apni safai, salasat aur rawani ki badolat maqbul horahi thi. Aur chapa khane ki ibtada ho chuki thi. Isi zamane mein Sir Syed ne apne bhai Syed Muhammad Khan ke sath mil kar "syed ul akhbar" jari kiya. Sir Syed ki pehli tasaneef "Asar-ul-Sanadid" hai taham unhon ne bohat jald is aslub ko tarak karte hue aam faham, sada aur salees andaz tehreer kiya. In ki nasar nigari aur asloob ki mandarja zail eham khususiyat hein:
Sadgi Aur Salasat: Sir Syed ki tehriron mein sadgi numaya hai wo apni tehreeron mein aam bol chal istemal karte thay takeh aam admi asani se samaj sake.
Tanz o Zarafat: Sir Syed ne mazmoon nigari ka khubsurat mayar qaim kiya hai un ki tehreeron mein zarafat o mazah bhi paya jata hai baaz auqat ye mazah tanz ki surat bhi ikhtiyar kar laita hai aur apne mukhalfeen ke bare mein un ka andaz tanziya hota hai.
Maqsadiyat: Sir Syed ki tehreerain maqsadiyat se bharpur hein. Un ki har tehreer koi na koi paigham deti nazar ati hai aur jo khuch wo likhte hein us ke maani (meanings) ko dusron ke dilon tak pohanchane ki koshish karte hein.
Angreezi Ka Istemal: Sir Syed apni tehreeron mein angreezi ka istamal bhi karte the jis ki wajah se un ki tehreerain sakel ho gai hein.
Qaumi Dard: Sir Syed ki tehreeron mein qaumi dard numayan hai. Unhain hindustani awam khususan Musalmanon se bohat muhabbat thi wo mulk ke logon ko taraki o khushali ki manzil par gamzan dekhna chahte the is liye unhon ne bari dilsozi ke sath apni tehriron ke zariye qaum ko us ki islah ki tarqeeb batai hein.
Taleemi Aur Abdi Khidmat: Sir Syed Ahmad Khan pehle shakhs hein jinhon ne urdu ko ijtamai maqasid ka tarjumaan aur ilmi madalib ke izhar ka waseela banaya. Is liye agar in ke dor ko urdu nasar ka dor e jaded aur un ko is dor ka majdid azam kaha jae to beja na hoga. Un ka bunyadi maqsad Musalmanan-e-hind ki falah o behbood aur tanzeem tha. Unhon ne taqreeron ke sath sath apni tehreeron ke zariye bhi mulk o qaum ke ilawa zaban o adab ki eham khidmat anjam dien. Unhon ne khud bhi bohat khuch likha aur dusron se bhi likhwaya in ki tasaneef ki fehrist bari tawel hai. Mukhtasir ye ke Sir Syed fikri koshishon ki badolat na sirf khayalat mein tabdeli paida hui balke ibarat arai ke qadem andaz ka rawaj kum hua, bhari, motay aur ghair zaroori alfaz ke bojh se zaban azad hoi. Unhon ne urdu ilam o adab ka koi pehlu aur mozu aisa nahin chhora jis par inhon ne khuch na khuch tehreer na kiya ho, unhon ne urdu ko elmi zaban banadia aur un ka inteqal 1816 ko hua.
No comments:
Post a Comment