Mango Cultivation In Pakistan In Urdu Aam Ki Kasht Mango Growing Areas In Pakistan Mango Season

  Lal Gulab      
Mango Farming In Pakistan In Urdu:

Aam Ki Kasht: Phalon mein aam ko ghazaiyat aur lazeez honay ki wajah se munfarid muqaam hasil hai isi wajah se is ko phalon ka badshah kaha jata hai. Ye fruit Pakistan ke ilawa deegar mumalik maslan India, China, Australia main bhi ugaya jata hai par Pakistani mango apne makhsoos zaiqay ki wajah se dunya bhar mein jana jata hai. Mango mein vitamin c zayada hota ha, Pakistan mein phalon ko ugane mein aam ko acha muqam hasil hai.
Zameen Ka Intekhab: Mango kalrati aur raitli zameenon ke ilawa tamam iqsam ki zameen mein kasht kiya ja sakta hai magar behtar paidawar ke liye zarkhez zameen jis mein pani ka nakas bohat acha ho munasab hai. Aam ki jarain taqreeban 15 se 20 foot gehrai tak hoti hain magar 5-7 foot gehrai intihai aham hai.

Best Time To Plant Mango Trees in Punjab and Sindh Areas: 

Mango Tree Method - Aam Ka Darakht Lagane Ka Tarika: Aam ke poday mausam bahar yani february, march aur mausam barsat yani august aur september mein lagaye jatay hain par mausam bahar yani spring season mein lagaye hue darakht kafi kamyab hotay hain. Mango plant jahan lagane ho us jagah ki nishandehi karne ke baad garhay khoday jayain aur unhain 15 se 20 din tak khula rehnay dain takay keray aur jaseem khatam ho jayain us ke baad aam ka poda laga dain.


Dusra aam ka poda lagana ho tou 30 se 40 foot fasle par lagayain is tarah is acre mein 27 to 48 plants lag jatay hain. Hamesha aik se zayada types ke mango kasht karain aur har aam ki qisam ko alehda plot mein ugayain.

Aam Ke Poday Ko Khad Dene Ka Waqt - (Fertilizer For Mango Trees In Pakistan and India)
Gobar ki gali sarri khad phool nikalne se 2 months pehle dalni chahiye takeh ye phool aanay se pehle podon ko dastyab ho aur taqreeban 2 weeks pehle january ke akhir tak dalain.
logoblog

Thanks for reading Mango Cultivation In Pakistan In Urdu Aam Ki Kasht Mango Growing Areas In Pakistan Mango Season

No comments:

Post a Comment